badam khane ke fayde aur nuksan.
Almond ke fayde aur nuksan.
Dosto jaisa ki pichle artical me hamne bataya ki Kaju khane ke fayde aur nuksan
Ke bare me hindi me bathaya tha.
Aap yaha kaju khane ke fayde aur nuksan par click karke aap us post ko hindi me read kar sakte hain.
Namskar dosto swagat hai aapka hamare blogspot par. Dosto aaj ke is artical me ham aapko batane wale hain ki Badam khane ke fayde aur nuksan hindi me Batane wale hain.to is post ko puri dhyan ke sath padhna. To chaliye shuru karte hain. Sabse pahle ham janege ki Badam khane ka sahi samay kya hai? To chaliye jan lete hain.
1.Badam khane ka sahi samay.
Dosto agar ham badam ko sahi samay se khaye to hamare sarir ka puri tarah se healthy rakhta hai. Waise badam to sham, subah kabhi bhi kha sakte hain lekin agar badam khane ka sahi samay ka istemal kare to aur bhi achha rahta hai.agar badam ko ham ise subah ke samay khali pet khaye to aur bhi achha rahega. To dosto maine aapko badam khane ka sahi samay bta diya ab aapko Bhige badam khane ka sahi tarika ke bare me batane ja raha hu. To chaliye jan lete hain
2. Bhige badam khane ka sahi tarika
Dosto badam ek super food ki catagary me aata hai. Badam ko nars ka badshah bhi kaha jata hai. Yah ek aisa dryfood hai jise aap lagbhag 2years tak rakh sakte. Dosto bhige badam ka khane ka sahi tarika batane ja raha hu. Dosto bhige badam me bahrpoor vitmin-E paya jata hai. Iske sath sath bharpur matra me zink, caliciam, magnize, magniciam aur umega ki bharpur poshak tatwa hoti hai.
In sabhi poshak tatwo ka fayda hame tabhi milta hai jab ham iska tatwa sahi roop se sahi tarike se kiya jata hai aur sath hi sath isme antioxidant jo hame kai bimario se fayda dilata hai. To chaliye baat karte hain ki bhige badam ko khane ka sahi tarika kya hai. Dosti kuch log kahte hai ki badam bhigo kar khane chahiye to kuch log kahte hai ki badam bigho kar nahi khana chahiye to kuchh kahte hai badam ke chilke utar kar khane chaiye. Dosto badam ke chhilke me tanine namak enjaim hota hai jo badam me maujood poshak tatwo ko pachan karne se rokta hai aur iske khane par bahut shakt hota hai aur iske sath sath pachan tantrika bhi parbhawit hoti hai. Isliye badam khane ka sahi samay hai rat ko ise bhigo kar rakh le aur subah uthkar khali pet badam ke chhilke ko utarkar doodh ya pani ke sath khana chaiye ti iska aapko aapko bharpoor poshak aur fayde milenge. Badam khane ka ek aur bhi tarika hai . Bhige badam ko agar kishmish aur bhige chane ke sath khaye to aur bhi achha rahega. Ab ham baat karte hain ki ek din me kitne badam khane chahiye
3. Ek din me kitne badam khane chahiye
Dosto waise to dinbhar me 4-5 badam khane chahiye lekin agar aap chahe to 6-7 bhi le sakte hain.
4. Bhige hue badam khane ke fayde ladkiyo ke liye
Bhige hue badam me vitmin-E paya jata hai aur vitamin-E twacha ke liye bahut hi jyada fayde mand ho sakti hai. Jin ladkiyo ko apni twacha ko skin glow karna hai o bhige hue badam ka sewan kare. Agar ladkiya daily bhige hue badam ka use karti hain to kuch dino me unki skin glow karne lagegi.
5. Badam dimag ke liye kya fayda karti hai
Dosto aapne kahi na kahi to suna hi hoga ki badam khane se dimag badhti hai. Agar aap bhige hue badam ka sewan karte hai to aapka dimag ekdam healthy rahega kyonki isme maujood omega3 fatiasion hota hai.
6. Badam kise nahi khana chahiye
Dosto agar ham badam ka sewan jarurat se jyad karta hai to we hame nuksan pahucha dete hai. To aaiye jante hai ki adhik badam khane par kya nuksan hota hai. Friends badam me fiver ki matra adhik hoti hai to aap jyada matra me badam ka sewan karte hai to isse hamare sarir me jarurat se jyada fiver ekattha ho jati hai jisse ki pet dard apachan aur kabz jaisi bimari shuru ho jati hai. Isliye jisko kidni ki samsya ho un logo ko badam ka sewan nahi karna chaiye.
Rellated tags: Badam ke fayde aur nuksan, almond ke fayde aur nuksab, badam khane ke fayde aur nuksan, badam khane ke fayde or nuksan, badam khane ke fayde v nuksan, pista badam khane ke fayde aur nuksan, kishmiss badam khane ke fayde aur nuksan
1 टिप्पणियाँ
Nice post
जवाब देंहटाएंइस ब्लॉग पर आपको स्वस्थ जीवन शैली विषय पर पोस्ट शेयर होती है